Tuesday, September 26, 2017

Mujh pe khulta kahan ye raaz'e'chaman

Mujh pe khulta kahan ye raaz'e'chaman

Ye jo uljha hai khaar se daaman


Raat tha neend ka safar koi

Subha uth'tey hi aankh mein hai thakan
~ Farzna Khan Naina


Tuesday, August 25, 2015

Manzil ko reh'guzar mein kabhi rakh diya karo

Manzil ko reh'guzar mein kabhi rakh diya karo
Apni talab safar mein kabhi rakh diya karo

Jin par wisaal E yaar ka taari rahe nasha
Wo hosley na darr mein kabhi rakh diya karo

Taaron bhare falak se uranein giri hui
Be'jaan shikasta par mein kabhi rakh diya karo

Mumkin hai usko bhi kabhi le aaye chand raat
Kuch phool soney ghar mein kabhi rakh diya karo

Haalaat main pissi hui majbooriyon ko tum
Ahbaab ki nazar mein kabhi rakh diya karo

Pyaason ke waastey yehi naina bharey bharey
Jaltey jhulastey thar mein kabhi rakh diya karo