Showing posts with label Ghazal. Show all posts
Showing posts with label Ghazal. Show all posts

Tuesday, August 25, 2015

Manzil ko reh'guzar mein kabhi rakh diya karo

Manzil ko reh'guzar mein kabhi rakh diya karo
Apni talab safar mein kabhi rakh diya karo

Jin par wisaal E yaar ka taari rahe nasha
Wo hosley na darr mein kabhi rakh diya karo

Taaron bhare falak se uranein giri hui
Be'jaan shikasta par mein kabhi rakh diya karo

Mumkin hai usko bhi kabhi le aaye chand raat
Kuch phool soney ghar mein kabhi rakh diya karo

Haalaat main pissi hui majbooriyon ko tum
Ahbaab ki nazar mein kabhi rakh diya karo

Pyaason ke waastey yehi naina bharey bharey
Jaltey jhulastey thar mein kabhi rakh diya karo


Friday, June 23, 2006

Neeli Chandni-تمناؤں کی نیلی چاندنی میں

Tammanaon ki neeli chandni mein
Kahan ho tum hamari zindagi mein
Kahan in surkh pholon ko chupaon
Udaasi hal na ho jaye khushi mein
Tere alfaaz hain anmol tohfey
Jo dhalte ja rahe hain shayeri mein
Mera foto saja kamre mein uskey
Yakayak ho gai kitni barri mein
Meri sochon ka darya kaise murrta
Kahan tum jaisi gehrai kisi mein
Zara baarish ki be-baaki to dekho
Chamma cham aa gai meri hansi mein
Sawaal uski anna ka aa gaya tha
Jawaban likh diya naina sabhi mein