Manzil ko reh'guzar mein kabhi rakh diya karo
Apni talab safar mein kabhi rakh diya karo
Jin par wisaal E yaar ka taari rahe nasha
Wo hosley na darr mein kabhi rakh diya karo
Taaron bhare falak se uranein giri hui
Be'jaan shikasta par mein kabhi rakh diya karo
Mumkin hai usko bhi kabhi le aaye chand raat
Kuch phool soney ghar mein kabhi rakh diya karo
Haalaat main pissi hui majbooriyon ko tum
Ahbaab ki nazar mein kabhi rakh diya karo
Pyaason ke waastey yehi naina bharey bharey
Jaltey jhulastey thar mein kabhi rakh diya karo